Foundation of Education Knowledge for Action Experiences
Reflections by the Participants about the Programme
Programme on the whole was quite enlightening and exposed me towards those issues that I otherwise would have never thought about. Digantar on the whole has instilled in me a capability of finding out the problem areas in my school, but finding out solutions as per the school reality is still a challenge. I feel that if every teacher does this course or a similar one then the education system on the whole will improve...
Is pure foundation course me mujhe jo kuch mila wah mere liye anmol hai. Ek insaan hone ke nate apne-aap ko samajhana, apne samaj ko samajhana mere liye kafi mahatavpurn hai. Is tarah ki karyashala mai shabdo me use nhi likh sakti jo kuch bhi maine yahan se arjit kiya hai. Ek alag hi tarah ka nazariya viksit hua hai...
Sampurn karyakram vyavasthit v badha hua tha beshak kai baar hum samay- sima me apne karya ko samapt nhi kar sake kintu uske liye bhi sandharbh vyaktio ne bhojanavkash ke dauran samay nikala…Mai uske liye aapka abhari hu…Yu to mai jis sanstha me karyarat hun waha bhi shiksha ke kshetra me hi karya kiya ja rha hai. Saath hi niyamit roop se sabhi sathiyo ke saath vartman shaikshik paridrishyo per vichar-vimarsh hota hai. Kintu apni samajh v ab tak ki shiksha ko anya vyaktio (sandharbh vyakti v sambhagi) ke nazariye se dekhna, tulna karna v phir se kuch naya vicharana v gadhana bahut achha rha...
Karyashala ek research lagi jo pure dhanche se spasht ho jati hai. Aisa laga Shiksha ki theoretical kalpana nahi prayog uska jawab ho sakta hai jo Rohit ji aur unke sathi ne shuru kiya hai....
Ye karyakram mere liye bahut hi madadgar rha cheezo ko dekhne v un per apni samajh babane ke liye….ummid hai ki mai aage kisi na kisi roop se Digantar se judi rahungi...
...is karyakram ka muh aur kholne ki awshyakta hai. Varsh me do baar ya isase adhik bar adhik samuhon ke liye ayojit karna chahiye. Uski samajik, shaikshik awsayakta hai.
...its an amazing thing for me & I heartily thank all the people at Digantar who helped in getting there. The programme is beautifully structured & very well organized...